People who are crazy enough to think they can change the world are the ones who do. -Apple
Your subscription could not be saved. Please try again.
Your subscription to raagabox has been successful.

A sample of other songs in raagabox lyrics * 7 *

haye meri uljhi nazar pardeshi ke sang
Lyricist: Shailendra
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aas-Ka-Panchhi/Haye-Meri-Uljh
haye meri haye meri uljhi nazar pardeshi ke sang
dil ko rakhti kaha tak sambhalke
haye meri najuk umar anjani dagar
rakh lungi ye kadam bhi sambhal ke
rakh lungi ye kadam bhi sambhal ke
chain kya hai nahi janti or rah rah ke dil thamti
aaj kal dekhti hu jo shisha aaj kal dekhti hu jo shisha
khud ko muskil se pahchanti haye meri
haye meri uljhi nazar pardeshi ke sang
dil ko rakhti kaha tak sambhalke
haye meri najuk umar anjani dagar
rakh lungi ye kadam bhi sambhal ke
rakh lungi ye kadam bhi sambhal ke

dil ye kahta hai chal us gali aankh unse ladi jis gali
hosh laute to ghabra gayi
main hosh laute to ghabra gayi main
haye main aa gayi kis gali mein kis gali me
haye meri uljhi nazar pardeshi ke sang
dil ko rakhti kaha tak sambhalke
haye meri najuk umar anjani dagar
rakh lungi ye kadam bhi sambhal ke
rakh lungi ye kadam bhi sambhal ke

koi batlaye to pyar kya hai dil ka rah rah ke ikrar kya hai
ye to mana ye dariya hai gahra ye to mana ye dariya hai gahra
rah rah kar aati muskan kya hai muskan kya hai haye meri
haye meri uljhi nazar pardeshi ke
sang dil ko rakhti kaha tak sambhalke
haye meri najuk umar anjani dagar
rakh lungi ye kadam bhi sambhal ke
haye meri uljhi nazar pardeshi ke
sang dil ko rakhti kaha tak sambhalke
haye meri najuk umar anjani dagar
rakh lungi ye kadam bhi sambhal ke
rakh lungi ye kadam bhi sambhal ke
dhire chalao jara haye dhire chalao jara
Lyricist: Shailendra
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aas-Ka-Panchhi/Dheere-Chalo-Z
dhire chalao jara haye dhire chalao jara
mukaddar ki gadi pe hum do anadi ye hai naya rashta
dhire kaha tak chale haye dhire kaha tak chale
jo bekhauf chale hai jiwan safar me unko mila rashta
dhire chalao jara haye dhire chalao jara

hawao me udake hame tum churake
kaha le chale ho batao to bhala
jaha ek hum hai jaha ek tum ho jaha kabhi na aaye koi dusra
dhire chalao jara haye dhire chalao jara
mukaddar ki gadi pe hum do anadi ye hai naya rashta
dhire kaha tak chale haye haye dhire kaha tak chale

ye jhumta najara safar pyara pyara
hai mausam ka ishara yaha na rukna
jaha bhi tu kahega jaha bhi le chalega
chalungi sang tere o mere sajna
dhire kaha tak chale haye haye dhire kaha tak chale
jo bekhauf chale hai jiwan safar me unko mila rashta
dhire chalao jara haye dhire chalao jara
mukaddar ki gadi pe hum do anadi ye hai naya rashta
dhire kaha tak chale haye dhire kaha tak chale
jo bekhauf chale hai jiwan safar me unko mila rashta
dhire chalao jara haye dhire chalao jara
zami kagaz ki ban jaye
Singer: Mohammad Rafi
Lyricist: Hasrat Jaipuri
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aas-Ka-Panchhi/Ab-Char-Dinon-
zami kagaz ki ban jaye, samundar roshanai ka
bayan phir bhi na hoga hamase yah kissa judai ka
char dino ki chhutti hai aur unase ja kar milana hai
jis mang ne dil ko mang liya
mang ne dil ko mang liya us mang me tare bharana hai
ab char dino ki chhutti hai aur unase ja kar milana hai
jis mang ne dil ko mang liya
mang ne dil ko mang liya us mang me tare bharana hai
char dino ki chhutti hai aur unase ja kar milana hai

dil apana abhi se dhadake hai dekhege unhe to kya hoga
ham hosh bhi apane kho dege masti se bhara jalava hoga
dil apana abhi se dhadake hai dekhege unhe to kya hoga
ham hosh bhi apane kho dege masti se bhara jalava hoga
vah samne ho phir aye maza, kuch kehna hai, kuch sunana hai
ab char dino ki chhutti hai aur unase ja kar milana hai
jis mang ne dil ko mang liya
mang ne dil ko mang liya us mang me tare bharana hai
ab char dino ki chhutti hai aur unase ja kar milana hai

vo bhi to hamari raho me zulfo ko sanvare ayege
aur phul chameli ke gajare khush ho ke hame pahanayege
ab chand ki tarah chamakana hai, suraj ki tarah se nikalana hai
ab char dino ki chhutti hai aur unase ja kar milana hai

ankho me javan shiqave hoge, hotho pe hansi laharayegi
sagar se milegi jab nadiya tufan pe raunak aayegi
ankho me javan shiqave hoge, hotho pe hansi laharayegi
sagar se milegi jab nadiya tufan pe raunak aayegi
ab badal banake barasana hai, maujo ki tarah se ubharana hai
ab char dino ki chhutti hai aur unase ja kar milana hai
jis mang ne dil ko mang liya
mang ne dil ko mang liya us mang me tare bharana hai
ab char dino ki chhutti hai aur unase ja kar milana hai

wo hamse kahege sharamake, parades gaye the kya laye
ham unse kahege jan-e-jaha dil apana bacha ke le aye
ab akh milao bat karo, ham samane hai kya padra hai
ab char dino ki chhutti hai aur unase ja kar milana hai
jis mang ne dil ko mang liya
mang ne dil ko mang liya us mang me tare bharana hai
ab char dino ki chhutti hai aur unase ja kar milana hai
jis mang ne dil ko mang liya
mang ne dil ko mang liya us mang me tare bharana hai
ab char dino ki chhutti hai aur unase ja kar milana hai
ai dil pyar ki manjil
Singer: Mukesh
Lyricist: Shailendra
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aas-Ka-Panchhi/Ae-Dil-Pyar-Ki
ai dil pyar ki manjil ab hai mukabil dekh toh le
aanchal dhal gaya sarse chand ko apane dekh toh le
ai dil pyar ki manjil

aaj ke jaisi rat na hogi, yeh halchal yeh bat na hogi
dekhnewale dekhte ja tu roj toh yeh barasat na hogi
ai dil pyar ki manjil

tab ek sapana dekh raha tha, abb ek sapana dekh raha hu
kya hai najara kya batalayu, dekh lo kya-kya dekh raha hu
ai dil pyar ki manjil

samane mere woh jo waha hain, jinaki najar mere dono jaha hain
kash koyi yeh puchh le, unse kal woh kaha the aaj kaha hain
ai dil pyar ki manjil ab hai mukabil dekh toh le
aanchal dhal gaya sarse chand ko apane dekh toh le
ai dil pyar ki manjil
rah ke talib hai par
Singer: Mukesh
Lyricist: Shailendra
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aas-Ka-Panchhi/Apni-Bhi-Kya-Z
rah ke talib hai par berah padate hai qadam
dekhie kya dhundhate hai aur kya pate hai ham
apani bhi kya zindagi hai nirali
jahan gae thukarae gae jaise botal khali
apani bhi kya zindagi hai nirali
jahan gae thukarae gae jaise botal khali
apani bhi kya zindagi hai nirali
jahan gae thukarae gae jaise botal khali

ragin vo zamana tha, sapana vo kya suhana tha
tab subah-o-sham khushiyo ke jam, har sans ek tarana tha
ragin vo zamana tha, sapana vo kya suhana tha
tab subah-o-sham khushiyo ke jam, har sans ek tarana tha
ab to bas har ghadi dukh bhari bebasi
as ki har kiran ashq ban bah gai
apani bhi kya zindagi hai nirali
jahan gae thukarae gae jaise botal khali
apani bhi kya zindagi hai nirali
jahan gae thukarae gae jaise botal khali

kya nid kisako sona hai, ab sari rat rona hai
dukhade bichha ke sab kuchh bhul ke, bas ek bar sona hai
kya nid kisako sona hai, ab sari rat rona hai
dukhade bichha ke sab kuchh bhul ke, bas ek bar sona hai
zindagi-zindagi o meri ladali
aa gale mil hai shayad ye rat akhari
apani bhi kya zindagi hai nirali
jahan gae thukarae gae jaise botal khali
apani bhi kya zindagi hai nirali
jahan gae thukarae gae jaise botal khali
tum roothi raho main manata rahu
Lyricist: Hasrat Jaipuri
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aas-Ka-Panchhi/Tum-Roothi-Rah
tum roothi raho main manata rahu
tum roothi raho main manata rahu
ki in adaao pe aur pyaar aata hai
in adaao pe aur pyaar aata hai
thode shiqwe bhi ho kuchh shikaayat bhi ho
thode shiqwe bhi ho kuchh shikaayat bhi ho
to maza jine ka aur bhi aata hai
maza jine ka aur bhi aata hai

haay dil ko churaakar le gaya
munh chhupa lena hamse wo aapka
munh chhupa lena hamse wo aapka
dekhna wo bigad kar phir hame
aur daanto me ungli ka daabna
aur daanto me ungli ka daabna
o mujhe teri qasam yahi samaan maar gaya
isi jalwe pe tere dono jahaan haar gaya
tum roothi raho main manata rahu
ki in adaao pe aur pyaar aata hai
in adaao pe aur pyaar aata hai
thode shiqwe bhi ho kuchh shikaayat bhi ho
to maza jine ka aur bhi aata hai
maza jine ka aur bhi aata hai

ye na samjho ki tumse door hu
ye na samjho ki tumse door hu
tere jiwan ki pyaar bhari aas hu
tere jiwan ki pyaar bhari aas hu
chaand ke sang jaise hai chaandni
waise main bhi tere dil ke paas hu
waise main bhi tere dil ke paas hu
haay wo dil hi nahi jo na dhadakna jaane
aur dildaar nahi jo na tadapna jaane
thode shiqwe bhi ho kuchh shikaayat bhi ho
to maza jine ka aur bhi aata hai
maza jine ka aur bhi aata hai
tum roothi raho main manata rahu
ki in adaao pe aur pyaar aata hai
in adaao pe aur pyaar aata hai

chaahe koi dagar ho pyaar ki
khatm hogi na teri-meri daastan
khatm hogi na teri-meri daastan
dil jalegaa to hogi roshni
tere dil me banaaya hain aashiya
tere dil me banaaya hain aashiya
o sharad punam ki rang bhari chaandni
meri sab kuchh meri taqdir meri zindagi
tum roothi raho main manata rahu
ki in adaao pe aur pyaar aata hai
in adaao pe aur pyaar aata hai
thode shiqwe bhi hon kuchh shikaayat bhi ho
to maza jine ka aur bhi aata hai
maza jine ka aur bhi aata hai
dil mera ek asa ka panchhi, udata hai unche gagan par
Singer: Subir Sen
Lyricist: Hasrat Jaipuri
Tag: Hindi
Audio: https://www.saavn.com/s/song/hindi/Aas-Ka-Panchhi/Dil-Mera-Ek-Aa
dil mera ek asa ka panchhi, udata hai unche gagan par
pahunchega ek din kabhi to chand ki ujali jamin par
dil mera ek asa ka panchhi, udata hai unche gagan par
pahunchega ek din kabhi to chand ki ujali jamin par
dil mera ek asa ka panchhi

ye duniya hai naujavanon ki, zamana hai naujavanon ka
havayein bhi gunagunati hain, tarana ham naujavanon ka
ye duniya hai naujavanon ki, zamana hai naujavanon ka
havayein bhi gunagunati hain, tarana ham naujavanon ka
badalegi ek din ye hasti, chamakega ek din muqaddar
ayega jhumata sabera, jivan mein roshani ko lekar
dil mera ek asa ka panchhi, udata hai unche gagan par
pahunchega ek din kabhi to chand ki ujali jamin par
dil mera ek asa ka panchhi

kabhi manzil bhi mila jayegi, abhi to har asa baki hai
ummmidon par naubaharein hai, jahan taka ye sans baki hai
kabhi manzil bhi mila jayegi, abhi to har asa baki hai
ummmidon par naubaharein hai, jahan taka ye sans baki hai
puri hogi har tamanna, chhu lunga asaman ko badhkar
chahe to ruka na sakega, duniya ke raston pe chalakar
dil mera ek asa ka panchhi, udata hai unche gagan par
pahunchega ek din kabhi to chand ki ujali jamin par
dil mera ek asa ka panchhi